बुधवार, 27 जनवरी 2010

अपनी गुड़िया के मेल का जवाब


Meri Sweet Gudia,

Aaj office me hun, aise rah nahi pa raha hun…..jee chahta hai ki khoob ro lun…magar kahan jakar ro loon…..kahan jaun mai…kayee baar latrine gaya to wahi rona shuru kar diya….aaina ke samne face padta aur khud ko samhalta ki kab tak band rahun latrine me…..baahar nikalta khud ko kaboo me laakar.

Miss u jaan…..kitni baar kahun aur kiss se kahun….ab meri gudia mujhse door ja chuki hai….mann kar raha hun ya to rokar aakash faad dun ya khud ka seena cheed dun jisme meri jaan chhupi hai…..kya karun mai????

Us ooparwale ne bhi sirf dard diya hai mujhe…..agar meri gudia mere paas nahi rahne walee thee to kyon milaya usne mujhse….kyon tadpa tadpa ke jine ko majboor kar raha hai mujhe……kyon banaya ye caste ka barrier jisse mai aaj sirf apni jaan ko yadon me feel kar sakta hun aur khud ko chiggadh marker rote huye dekhta hun….maine apni jaan se waada liya tha ki kabhi khudkushi karne ka khayal bhi mat lana aur mera mann kar raha hi mar jaun mai…..mai kaise jee paaunga mai…kaise rah paaunga mai apnee jaan ke bina….lekin mar bhi nahi paunga….hum dono jo kasam se bandhe hain.

Jaan! Tum aur galati……meri gudia kabhi galati kar hi nahi sakti….wo to mai hun jo jaan bhujhkar apni janu ko daant laga deta hun. Meri gudia kabhi selfish ho sakti hai…..never…jo sacrifice ki murti hai wo kya banegi selfish…..my sweet doll…aise mat likho n ki mera kaleja fat jaay….jaan! tumne kahan tang kiya mujhe…..wo to tera care tha jo mujhe achchhee tarah jine ko kah rahi thee….janu…..Aur jin palon ko tum ‘mera waqt barbaad karna’ kahti ho, un palon me to tumne mujhe sari jahan ki khushiyan dee thee janu…..tumne mera waqt kab barbaad kiya….my sweet life!

Tum bhi mat rona…..tum rowoge to mujhe khud-b-khud rona aayega janu. Tum meri gudia ko mat rulana….bahut hi sweet hai ho….bahut delicate hai….uskee tabiyat bhi kharab ho jayegi. Usko sir-dard hone lagta hai. Aur suno! Usko time pe khana jarur khilana…..wo banki kaam me thik bhi hai lekin khana khane me bahut laaparwaah hai wo….pls meri gudia ka khayal rakhna.

Mai mail karta rahunga jaan……abhi aur nahi likha ja raha…..aankho se sirf aansoo aa rahe hain.

Love u,

Tumhara Janu.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें